09/04/2017

Buqaar Jahannam ki bhaap se aata hai,

Jahannam Ka Bayan
#Part 6

Jahannam Ki Aag Ki Shiddat
๐Ÿ”ฅ Jahannam ki Aag ka pehla Shola hi kafir k jism ka saara gosht haddiyon se alag kardegi.
๐Ÿ‘‰๐Ÿป Mafhum E Quran hai.๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Aag unke chehron Ko chaat jayegi aur unke jabdey bahar nikal ayenge
(Surah Mominoon_A.104)

๐Ÿ”ฅ Jahannam ki Aag duniya ki Aag se 69 darja zyada garm hai, aur uske har hisse me garmi ki utni hi Shiddat hai jitni duniya ki Aag me hai..

๐Ÿ”ฅ Ibn E Maaja ki hadees hai..
Hz Abuzar RA kehte Hain, Rasool Allah Sallal'laahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, agar loag Jahannam ki Aag dekhle to hasnaa chod dein, biwiyon se Milne ki khwahish tark kardein, shaher ki araam'dah zindagi chod kar jangalon me jaa ja basein aur har waqt Allah ki panah talab karte rahein..

๐Ÿ‘‰๐Ÿป Garmiyon k mausam me shadeed tareen garmi sirf Jahannam ki Aag ki bhaap se paida Hoti hai..

๐Ÿ‘‰๐ŸปSahi Bukhari ki hadees hai๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Hz Ayesha raziallahu anha se riwayat hai k, Nabi E Kareem sallal'laahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "buqaar Jahannam ki bhaap se aata hai, lihaza usey Pani se thanda karo"

๐Ÿ‘‰๐Ÿป Sahi muslim ki hadees me ata hai๐Ÿ‘‡๐Ÿป
Hz Abu Saeed khudri raziallahu anhu se riwayat hai k, Nabi SAW ne farmaya, "Jahannam me sab se halka Azaab us aadmi Ko Hoga jise Aag ki jootiyan pehnai jayengi jis se uska damagh khaolne lage ga"

Allah'hummaa Ajirnaa minan naar ๐Ÿ˜ฅ๐Ÿ˜ฅ๐Ÿ˜ฅ

โœ To b continue..

No comments :

Post a Comment